Sayari Tube is the online source of poetry, written on subject like love, sad, emotions, society etc. by various writers.
Showing posts with label Yaaden Shayari. Show all posts
Showing posts with label Yaaden Shayari. Show all posts
Thursday, 31 October 2019
Wednesday, 13 January 2016
Kuch Meethi Kuch Khatti Yaaden
Kuch meethi kuch khatti teri yaaden hain,
Tere saath bitaye palo ki wo sogaten hain,
Bura na mano ham palko pe unko sajaten hain,
Jab aankh khule to teri tasveer samne paaten hain,
Band aankho me bas tera hi khawab sajaten hain,
Teri har aahat ko ham is kadar dil se lagaten hain,
Bas yahi kahna hain ki aap bahut yaad aaten hain !
Adhuri Hain Ye Kahani
Ek pal ki khushi najane kisme hain lipti,
Guzare zamane se kis zamane ki raah dekhti.
Bejuban ahsas ko kiya maine mahsus,
Mere shabdo ki baris kyu na mahfuj.
Ek aawaj to do mera waqt wahi hain thahra,
Bekarar hain sunne ko bezuban alfaj tera.
Samay ne na jane kaisa khel hain khela,
Zindagi ki kasti ko kaha kaha dhakela.
Khili chandni me chhupi hain dansta.
Bahti nadi ne diya mujhe ek rasta,
Guzare zamanne ke gile shikwe hain ,
Bezuban baris ki bundo se khamosh alfaj hain.
Adhuri hain ye kahani,adhura hain ye manzar,
Bin tere ye zindagi ho na zaye kahi banzar.
Wednesday, 6 January 2016
Yaaden Akasar
Yaaden akasar sirf yaaden rah jati hain,
Apne beech safar me saath chhod jate hain,
Kisi ko kya dos de ham hee bahak jate hain,
Tanha hokar bhi ham bas unme kho jate hain,
Na jaane kis waqt kis more pe khade ho jate hain,
Gairo ko apna aur apno ko gair samjhtae hain !
Bechen aankho pe bas haseen sapne sajate hain,
Bas ab to ham yaadon ke sahare hi jeete hain !
Saturday, 2 January 2016
Teri Yaadon ki Sunhari Dhoop
Teri yaadon ki sunhari dhoop
Ek jashn hai meri zindagi ka,
Geeli ret per chorr ke apne nishan
Likhti jaati hai koi geet khushi ka,
Tere saath bitaya har lamha
Dilki dhadkan me koi saaz ched jata hai,
Aaj bhi deti hain jab dastak tumhari yaadein
Tera aks nagmo me badal jata hai,
Main nahi jaanta ke ye yaadein na hoti to kya hota
Magar ye janta hoon
Na khushnuma sargam ka falsafa hota
Na zindagi jeene ka mayna hota,
Ye yaadein ek jashn hai meri zindagi ka
Jo likhti jaati hain koi geet khushi ka!
Subscribe to:
Posts (Atom)