Wednesday 13 January 2016

Adhuri Hain Ye Kahani


Ek pal ki khushi najane kisme hain lipti,
Guzare zamane se kis zamane ki raah dekhti.

Bejuban ahsas ko kiya maine mahsus,
Mere shabdo ki baris kyu na mahfuj.

Ek aawaj to do mera waqt wahi hain thahra,
Bekarar hain sunne ko bezuban alfaj tera.

Samay ne na jane kaisa khel hain khela,
Zindagi ki kasti ko kaha kaha dhakela.

Khili chandni me chhupi hain dansta.
Bahti nadi ne diya mujhe ek rasta,

Guzare zamanne ke gile shikwe hain ,
Bezuban baris ki bundo se khamosh alfaj hain.

Adhuri hain ye kahani,adhura hain ye manzar,
Bin tere ye zindagi ho na zaye kahi banzar.

No comments:

Post a Comment