Thursday 9 June 2016

Ban Gai Ho Hamari Jaan


Har kisi ko samjhaana
mere bus ki baat nahin
ke zindagi se aakhir
kya chahta hoon mein?..

Keh sakta hoon tum se
yeh sab kyon ke
tumhi shayad samajh saktei ho
samajhna chahti ho?

Kitna kuch sun kar
bus meri aankhon mein dekh kar
kitna kuch samjh jaati ho tum?

Mujhey samajhna
kitna mushkil hai tumhare’ liye
fir bhi mujhey chahna
kitna aasaan?

Shayad isilie
itna bada dill hai tumhara
Shayad isilie tum
ban gai ho hamari jaan...<3

No comments:

Post a Comment